MAA KI YAAD

ab umar tumhe tumhari

uss mod par le jaegi
tab dekhna tumhe yaad
maa ki har baat wo aayegi

wo baat baat bar poochna
ke kahin tum bhooke to nahin
baat dil mein hei, mujhse kaho
kahin mujhse roothe to nahin

koi aisa gham koi aisa dukh
bhala mujhe to tum batao beta
iss chand se chehre se tum
aansoon ko to hatao beta

jab tum pareshaan se hote ho
meri raton ki neend udh jaati hei
aankhon se mere, aansoon ki ladi
dua ban ke rab ke paas jaati hei

jab mein na hoon pareshaan mat hona
meri baton ko yaad kar ke mat rona
iss dunya mein kahan koi raha hei sada
in aankhon ko beta tum mat bhigona

mayoosion ke jab chaye badal hon
apne dil par haath rakh lena tum
band kar ke apni aankhon ko phir
ho jana meri un yadon mein ghum

mein janti hoon tumhari yadon mein
mein kabhi bhi marr nahi paongi
jitna bhi tum bhoolna chaho mujhe
mein utna hi tumhe yaad aaongi